Sunday, September 22, 2013

kahin aur

gali me roya suno bacha ek aur
asmaan se takra gai dua ek aur.

ashkiq ki iltija ye dua aur, aur baaki aur,
vo maula ka jawab phirist me aa gaye ek aur.

qatl karke zinda gosht ko uss din,
qatil ne kaha mera khuda aur, tera khuda aur.

khanjar, jee pe na seh sakenge aur,
unhone kaha ji bas thoda aur, thoda aur.

din aaye aisa ke ro tum be-tahasha,
aur kahin, kandha na mile tumhe koi aur

rahgeeron ka bhi ajab hai maamla,
har manzil par kehte hai kahin aur, kahin aur